Life in Blue-Tint

Tuesday, July 20, 2010

bhool gaye hain ki joote kahaan utaare the

Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par.

Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door chale aaye
Ki ab bhool gaye hain –
Joote kahan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai abhi bhi.
Aur nazuk hi rahegi,
Inn khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.


Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.
Par lagta hai, ab unki zaroorat nahi."

No comments: